Website blog banane ke liye kya kya cheezo ki jarurat padti hai ,Kitne paise lagte hai- puri Detail

Author: in August 04, 2023
Agar aap website ya blog banane chahte hai to website banane se phele aapke pass kya hona chahiye . Aaj Ham is website me iske bare me bat karenge . Aaj ke time me har koyi aapne bate online   social media Facebook, Twitter , whatsapp  par share karna pasand karta hai  aaj ke time agar aapke pass whatsapp, facebook acount nahi hoga . Kyuki ye bahut hi achha tarika hai pura duniya se judne ka . Lekin agar aap ( business) paisa kamane chahte hai to aapki ak website hona bahut jarori hai. 

To chaliye aaj me  website ya blog  banane ke liye kya kya cheezo ki jarurt padti hai  ,or website banane ke liye kitna paisa lagta hai. Puri jankari ke sath bat karne wala hu . 


Website banane se pahle ham ye jan le ki website banane ka kya fayda or website kyo jarori hai.

Website banane ka kya fayda hai ? 

Agr aap internet par  online business karna chahta hai or aap bhi online income kar sako to aapko apni ak website honi chahiye .Agar aapko kuch chij ki talent hai jo aap duniya se share karna chahte hai to aapko online hona hi padega.To hi aap online paisa kama sako ge 


 website banane ke liye kya kya cheezo ki jarurat padti hai  ? 

Agar aap apni website banana chahte hai to kya kya hona chaiye ?

Website / blog banane se pahle hame  ye janana  important hai ki aapko Interest kisme hai . Kiyo ki bina interest ke website banane se jaida din tak site nahi chala payenge . Or ak din me website band kar ke chala jayega 

Website banane ke liye aapko ak topic select karna hai jisme aapko jankari hona bhut jarori hai tab hi aap successful ho payenge . Taki aap user ko acchi se samjha sake. agar aapki  website par acchi jankari nahi hogi to aap user ka sawalo ka sahi  jawab nahi de sakoge . To aapki site par logo nahi aayega me aapko ak hi bat kahunga ki aap sabse pahle aapni ak achhi topic select kar le jisme aapko intrest ho taki bad me kuch problem na aaye.


Website me kitna knowledge hona chahiye:

 Agar aapko website /blog me bilkul bhi jankari nahi hai par aap website banana chahte hai . To aap tansan na le . Kiyo ki aaj ke time online internet Related sabhi topic par jankari mil jayega or help  lene ke liye hamari site www.hindimehelps.com par aap comment kar ke  sawalo ka jawab pa sakte hai . Me aapni  users ko help karne se mujhe bahut khusi milta hai . 

Website banane ke liye kya kya chahiye ?

Website banane ke liye hame 2 chizo chaiye 

1. Gmail account 
2. Knowledge 

Agr aapke pass ye chizo hai to aap asani se apni website bana sakte hai. Mai bhi ak student hu. Jo mare pass thoda kam time milta hai. Iske wagh se ham aapni site par har din post nahi kar pata hu. Par aap logo ko mera post pasand aayega to me har din ak new jankari le kar aaunga . Jisse aap logo ko help mil sakte or paisa kama sake . 

Website banane ke liye kitna paisa lagta hai ? 
Agar aap blogging start kar raha to aapko paisa  ki koyi jarurat nahi hai . Bas aapko ak domin name lena padega. domain name aapko bhut saste mai mil jayega Rs.199 , 399 mai mil jayega . 

Agar aap professional website banana chahte  hai. To aapko wordpress  site par  banana hoga  is par website banane ke liye aapko paisa ki jarurat lag sakti hai . Isme aapko domain name , hosting, template, kharidna padega jo aapko lagbhag Rs 5,000 se 10,000 tak bhi lag sakta hai.


Agar aap new hai or aapke pass paisa nahi to aap blogging start kar sakte hai mara bhi blogging par website hai jo aap is post ko padh raha hai .Aisa nahi hai ki blogging se paisa nahi kama sakte hai . Blogging se bhi bhut paisa kama sakte hai .  Iske liye aapko thoda time dena hoga . 

Agar Aap paisa ke liye Website bana raha hai to aap ye galti bilkul na kare kiuki har new blogger ye sochta hai . Ki Website banane ke bad ham bahut sare paisa aana suru ho jayega . To aap website na banaye or apni time west na kare aisa nahi hota hai ki aaj website bana liya or kal paisa aana suru ho gaya . Online paisa kamane ke liye aapko bahut time dena pad skati hai . 


Bahut se logo ye sochte hai ki hum ak hi din me duniya famous ho jayenge or bahut jald ham lakho kamane lage huye hai .

Agar aap aisa soch rahe hai to aap kabhi bhi kamyab nahi  ho sakte hai. Paisa kamana itna asan nahi hai ki har log online se paisa kama sakte hai. Agar aap website banane se pahle  paisa kamane ke bare soch raha hai to aap bilkul successful nahi ho payega .


I hope ye post mai Website blog banaane ke liye kya kya chaiye or kitna paisa lagta hai iski jabab mil gaya hota .Agar ha to aap is post ko aapne dost ke stab share kare . Or is post me kuch problem ho to aap comment kar ke bataye me aapki help karunga. 



Related Articles :-