2023 me blogs ki traffic kaise badhaye [ full information ]

Author: in May 25, 2023
Blogs par traffic kaise badhaye . Har koyi New blogger  jab aapna blogs suru karta hai to Google  me ye post jarurar search  karta hai ki aapne blogs par yesa kya kare . Ki jald se jald aapne blogs  par bahut  sare traffic aa jaye . Traffic har kisi ke liye bahut important  hoti hai . Or ye bat har koyi janta hai . Bina traffic ke blogs  kabhi bhi  success  nahi ho sakta hai .

Blog traffic badhana


Jab aap blogs start  karne ki planning  karte hai to us  time  hi aapko ye samjh lena chahaiye  ki me blogs suru karne ke bad yesa kya karu  ki mujhe Google or baki sabhi search engine se achha traffic  milane lage or  vo bhi jaldi se jaldi aapke  blogs par traffic ko badhaye ke liye hame bahut sare chijo ka manaye rakhti hai  .

   (Jaise ):-

  • Aapka blogs kitna purana hai .matlab aapke blogs par kitna contents available hai.
  • Aapka domain name me keyword hai .ya nahi 
  • Aapke blogs ka content kitna uniquehai.
  • Aapke blogs post  seo friendly  hai ya nahi hai.
  • Aapke blogs ka post  search engineme submit hai kya nahi. 

Iske Alaba bhi dher sara yese bate hai jo aapke  blogs  par achha traffic lane me bahut manaye rakhti hai. Aaj ham bhi  usi me kuch yesi  topics ke bare me bat karenge  jo aapke  blogs  par traffic ko badhaye me aapka help jayega.  



To cahliye dost ab me point pe aate hai . Ki ham yesa kya kare  jisse hamara blog  par bhi  traffic aane suru ho jaye.  



#1 Aapne blog ko sabhi search  engine me submit kare 


Agar Aapne aapna  yek new  blogs banaya hai . To ye bahut achha bat hai . Or aapne  babhut achhi post  likha jo kisi or ne kabhi nahi likha ye or bhi achha bat hai . Lekin  aapne  Google  or baki sabhi search engine ko iske bare me bataya hi nahi  hai. ki internet par meri  bhi  ak website  hai jise aap aapne search me samil karo . Ye hamara liye accha bat  nahi hai. 


Aapko aapna  blog  banane ke bad sabhi search engine  ko ye batana hota hai ki mera bhi internet par ak blogs hai .Or mera bhai post hai jaise aap Aapne search engine me samil karo.   Jaise mere  blogs kar  Google  kuch traffic  mil sake or me kuch paisa kama sakte .


Lekin aap  Google  ye  kaise batayenge :- 


Iske liye aapko kahi jane ka nahi hai . Or aap kisi ko bhi kahna nahi  hai bas aapko niche diye gaye link par ja karke mera post padh lena hai  ki kaise aapne blogs ka Google search engine  me submit karte hai . Kaise sitemap bana kar  aapna sabhi post ko  usme submit kiya jata hai .

To aapne mere niche diye gaye links ko open karke  jankari le sakte hai ki aapne blogs ko Google search engine  me submit kaise kiya jata hai . Or iske alab bhi bhi bahut janakariya hai . Jo aapke kam aa sakti hai 



Asha karta hu ki upar diye gaye  mere sabhi post  padhe honge . Or aapko  pasand aaya hoga.  Aapne bhi aapne website Google me submit kar diya hoga  . 

Ab jante hai blogs ka traffic  badhaye ka dusra point  :- 

#2 kisi dusre blogs par comment Karna 


Aapne backink ka name to suna hi hoga . Aaj ke time me internet par itni sare  blogs  aapko mil jayega ki aap soch bhi nahi sakte hai.  Lekin aapko pata hai  us blogs  par  comment karke  aapne par traffic  la sakte hai. 


Agar aapko kisi  bhi post ko  Google  me  rank karna hota hai to sabse pahle aapko  high quality ki backlinks ki jarurat padti hai agar aapke pas high quality backlinks nahi  phir bhi aap  Google me rank kara sakte hai  aapko sirph har ak blogs me aapna comment  chodna hai  . 


Comment karne ka aapko  bahut  sare phayeda hai . Kabhi bhi comment karne par nuksan nahi hota hai or kisi or blogs par comment  us time  sabse jayida  phayedemand  hota hai Jab aap event blogging kar rahe ho us time aapke pass times kam hota hai  aapne  blogs ya post ko rank karane ke liye .


Baki yesa bhi nahi hai .ki aap sirph  usi time comment  kare jab aapko aapne blogs  ko promote karna ho aapke man me agar koyi equation hai ya aapko  kisi tarh ki koyi  problem aati hai to aapko  kisi bhi  blogs par comment karke uska  samdhan kar lena  chahaiye  

Iske aapko 2 phayede honge.  


Fast  :- aapki  samasiya ka  samadhn bhi  ho jayega  or uske sath  aapke  comment  ko  padh  kar  aapke  website tak  pahuchna  
mil jayega logo  ko 

Second  :- aapko aapne  blogs ke liye ak  important  backlinks  bhi  mil  jayega  



#3 Social Media ki madad se traffic pana 


Ye mera sebse best important  point hai  blogs ki  traffic  badhaye ki jariya  bahut se new  blogger ka manana hai ki social media se traffic nahi milta  hai  . Iske liye  me us friend  ko kahana chahunga ki  mera  jo  bhi  traffic aata  hai  vo  sab  social media se hi agar aapko  akin nahi  hota hai  to aap  mera  koyi  bhi  post Google me search karo  Google ke  last  page par mera  post  so  hota hoga  . 

Isilye me hamesh yahi kahta hu ki  social media use karke  blogs ka traffic badhaya ja sakta hai.  Bahut  se blogger ka kahna hai ki  blogs ka links  social media par share karne par aapke blogs  sapm kar  diya jata hai . Jisse Google bhi  usko rank  karane  me help nahi karta hai . Lekin ye bat bilkul galt hai . 


Jab mene blogs strat kiya tha  tab  se mrea blogs par  social media  se traffic aa  raha hai  . Matlab  mera  jo  bhi  traffic aate hai  vo  sab  Facebook ,Twitter Instagram, Google + jaise site se aate hai.  


Aapko  bhi  agar  jaldi se jaldi  aapne blogs  par traffic  lana hai.  To use aapne social media  par share jarur kare sabse  jayida Facebook  use  kare  Facebook  par aapna  ak  page  bana le  or  us par aapna  blogs ka links  share kare Facebook par page kaise banate hai  uska  post  mene pahle  dal  chuka  hu  agar  aapne Abhi  tak  us post  nahi  dekha  hai  to aap  us post  dekh  sakte hai . 


#4 blogs ko Regular update karte rahe 


Kisi bhi  chij  ko  har  din  update rahne se vo  hamesa  hi  logo  ke liye new  bani  rahti hai or logo  use  pasand  bhi  karte hai isilye aapko  bhi  aapna  blogging me successful hona hai to aapko  bhi  aapne  blogs  ko  Regular update   karte rahna hoga  or Regular  update rakhne  se hamara  phayeda  hi  phayeda hai isse  hamara  website par   automation  traffic aana  suru  ho  jayega  . 


Iske  Alaba  regular  update karte rahne se blogs ki  ranking  me bhi  sudhar hota hai.  Jisse  Google  ye pata chalta  hai  ki  blogs ka  malik  bhi  update hai . Yesa  blogs  Google  ko  bahut  pasand hota  hai or  uska har ak post  Google par  fast  page par  lane  ki  kosis bhi  karta hai.  

#5 content bada likhna  matlab traffic ko teji se badhana  


Content bada ka matlab  traffic badhana . Ye bat me isilye bolta hu kiyo ki bada  content sab log  likhte  hai . Jisse  logo  ko kuch  help  mil  sake . Isse dono  ka  phayeda  hota  hai post yesa likho jo logo  samjhne me koyi  paresaniya na ho  chahe vo  post  2000 ki  word  ka hi  na  ho    par post  accha  likho  or post ke sath image  bhi  use  karo  jisse  visitor ko samjhne  me or  khusi  mile  .


Yah  ak  sebse important bat hai mere  hisab  se bada post to sabhi  likha  karte hai  . Par post  unique  sabhi ka  nahi  hota  hai  agar  aap  unique  post  aapne blog  par dalenge  to aapko  traffic  ki  tensan  nahi  hoga automation  aapke website par traffic  aana suru  ho jayega  . 


To dost ye tha mera aaj ka top 5 tarike  jinse  aap aapne blogs par traffic badha  sakte hai ummd karta hu  ki aapke mera  post pasand  aaya  hoga  . Mera is  article ko  aapne  dosto  ke sath share kare  thanks friend


Related Articles :-