Blogger Blog Ki Template Ko Change Upload Kaise Kare Full information

Author: in August 04, 2019
Hum badi ummid se Blog banate hai. hai or fir usme ache ache articles bhi upload karte hai magr jab humare blog ko visitors nahi milte to last me hum nirash ho kar blogging chod dete hai. iska main wajah hoti hai blog ka look sahi na hona kyuki humare blog ka look jitna acha or aakarshak hoga visitors ko wo utna hi acha lagega, aaj mai aapko isi ke bare me btane ja raha hu, aap aasani se apne blog ka look template change kar sakte hai.

Blogspot-blogs-template-change

Blog Ki Template Ko Kyu Change Kare?



Agar aapka  blog ka traffic nahi hai . Or aap blog ka traffic badhana hai or agar aap chahate hai ki aapke blog par jyada visitors aaye to aapko blog ki template change karni chahiye. blog ki template change karne se aap usme social media buttan bhi add kar sakte hai jaise aap mere blog me dekh rahe hai.

Blogger se pahle se bahut sare template free me de rakhe hai par agar aapko apna blog or acha or best banana hai to aap blog template change kar sakte hai. Isse pahle  free site se jo template pasand hai use  download karni hai.

Internet  par  bahut si sites hai blog template download karne ke liye. par aap yaha se bhiw 


 template download kar sakte hai.

dhyan rakhe ki blogger sirf Xml file hi support karta hai. isliye template chane karne ke liye sirf Xml file hi choone.


Blog Template Ka Design Kaisa Hona Chahiye



Blog ki template download karne se pahle ye jan na bahuty jaruri hai ki blog ki template kaisi honi chahiye, yeh bahut jaruri hai

  • Mobile Friendly: Template aapka Mobile friendly honi chahiye taki mobile me bhi aapka blog acha dikhe or ye to aap jante hi hai ki aaj jyadatar log mobile me hi net use karte hai.

  • SEO Friendly: Ye bahut jaruri hai ki aapke blog ki template seo friedly ho taki google search engine me aapka blog search ho sake.

  • Fast Loading: Aapke blog ki template fast load hone wali  ho taki jaldi khule kyuki jab koi visitors aapke blog blog ko open kata hai to agar ye open hone me time lagati hai to visitors kisi dusri website par chala jayega.


Ab aap ye to jan hi gaye honge ki blog template kaisi honi chahiye or blog template kaha se download karte hai, ab aap ko ye janna hai ki blog template kaise upload karte hai.

Blog Ki Template Change Or Upload Kaise Kare


Sabse pahle Blogger.com website par jaye log in kare or  blog ke Dashboard me jaye.

  1. Template par click kare.
  2. Ab Backup/Restore par click kare.
Change-blogs-template


Ab ek new popup windows open hogi.
Template-Upload


  • Download foll template par click karke apne blog ki template ka backup bana le . Isse template upload karte time koi error aaye to aap fir se purani template upload kar sakte hai.

  • Choose file par click karke apne blog ke liye xml file choone jo aapne pahle se download kar rakhi hai or agar nahi ki hot to pahle Btemplates.com is site se template download kar le

  • File choose karne ke bad Upload par click kare or thoda wait kare. template upload karne  ke bad aapke blog ka look badal jayega.


To friend's is tarah se aap bhi apne blog ki template upload or change kar sakte ho aasani se or agar fir bhi aapko kuch problem aaye to comment me bata sakte ho.



I hope aapko ye post achhi lagi hogi agar lagi hai to ise social media par apne friends ke sath share kar ke unhe bhi iske bare me bataye.


Related Articles :-